Pages

Tuesday 28 June 2011

Ghalib Mirza Asadullah Khan6

Koi umid bar nhi aati

koi ummeed bar naheen aatee
koee soorat nazar naheen aatee

maut ka ek din mu’ayyan hai
neehd kyon raat bhar naheeh aatee?

aage aatee thee haal-e-dil pe hansee
ab kisee baat par naheen aatee

jaanta hoon sawaab-e-taa’at-o-zahad
par tabeeyat idhar naheen aatee

hai kuchch ‘eisee hee baat jo chup hoon
warna kya baat kar naheen aatee?

kyon na cheekhoon ki yaad karate hain
Meri awaaz gar nahin aati.

daagh-e-dil gar nazar naheen aata
boo bhee ‘ei chaaraagar ! naheen aatee

ham wahaan hain jahaan se hamko bhee
kuchch hamaaree khabar naheen aatee

marte hain aarzoo mein marne ki
maut aatee hai par naheen aatee

kaaba’a kis munh se jaaoge ‘Ghalib’
sharm tumko magar naheen aatee