Pages

Tuesday, 28 June 2011

Ghalib Mirza Asadullah Khan2

dard minnat_kash-e-dawa na huaa
dard minnat_kash-e-dawa na huaa
maiN na achchaa huaa, bura na huaa

jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ?
ik tamaasha huaa gila na huaa

ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ?
too hee jab KHanjar aazma na huaa

kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb
gaaliyaaN khaake be_maza na huaa

hai KHabar garm unke aane kee
aaj hee ghar meiN boriya na huaa !

kya woh namrood kee KHudaaee thee
bandagee meiN tera bhala na huaa

jaan dee, dee huee usee ki thee
haq to ye hai ke haq adaa na huaa

zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama
kaam gar ruk gaya rawanah huaa

rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ?
leke dil, dil_sitaaN rawanah huaa

kuchch to paDhiye ki log kehte haiN
'aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa'